Aaj bhi sab SAHI hai
Kuch nahi bigda
Bhas PRATHNA ki kami hai
Aapko PRABHU YESHU aaj bhi uncha karne ko taiyaar hai
Haalat jaise bhi ho
Aapko unse bahar nikalne mein samarthi hai
Chahe Bimaari ho
Karze ho
Sataav ho
Kami-Ghati ho
Chinta ho
Har sawal ka ek hi jawaab hai
YESHU MASIH
Usse Prathana karo
Uski Aradhana kari
Usse Pukaro
Woh dur nahi hai
Aapke paas hai
Aap hi dur chale gaye the
Prodical Son ne ghar khud choda tha
Uske Pita ne use nahi nikala tha
Na uska pita ya bhai usse dundne gaya tha
Woh khud gaya khud aaya
Aap bhi khud gaye the khud aaiye
Maafi mangiye apno se
Kalisiya ke elders se
PASTOR se
Aur wapas bhar jaiye PAVITRA AATMA SE
PRABHU aapke liye
Aaj bhi baahein failake wait kar rahe hai
Aap kitne bhi andar se toote hue hai
Pareshaan hai
Kisine aapko kuch bol diya
Jo ki usko nahi kehena chahiye
Lekin chodiye unko
YESHU MASIH ne aapko nahi choda hai
Woh aapke saath tha hai aur rahega. AMEN.
by Ashish Dembani