Worship ka meaning hota hai Hebrew me Work, labor, serve, venerate, iska meaning hai Lord ne jab adam ko banaya apni samaanta me tab Lord ne usko Garden me rakhar work (kaam) karne ko bola...acha se sunniye Lord ne adam ko ye nai bola mere liye Song gaa ya prayer kar but hum Kam nai karte hai aur 2 song gaaye toh usko worship samjke baithte hai ye galat hai so aggar hum real worshiper hai toh 1st Lord ka kaam karna hai, uske bad worship me Song gaane se, also aggar aapke samne jo dushman hai usko pyaar se ghale milo, jo nash ho rahe hai unko Susamachar sunnao ye really worship hai.
Isliye humein True Worshipers banna hai Lord ka Kam karna hai.
John 15:8 "मेरे पिता की महिमा इसी से होती है, कि तुम बहुत सा फल लाओ, तब ही तुम मेरे चेले ठहरोगे।"
John 15:8 Here is my Father's glory, in that you give much fruit and so are my true disciples.