Lord’s Prayer in detail explanation by Ashish Dembani

PRABHU KI PRATHANA
HEY HAMARE PITA
Maine mere jeevan mein is prathana se kya paaya hai aur mere shabdo mein iske arth ko mai aapko batana chahata hoon

HEY HAMARE PITA
TU JO SWARG MEIN HAI
ye relationship hai hamari hamare KHUDA ke saath lekin konse KHUDA ke saath wohi jo sacha hai joki swarg mein hai idher udher ka nahin jisne sab kuch niyantran mein rakha hai

NAAM TERA PAVITRA MANA JAAYE
kya uska naam pavitra nahin hai
Beshak hai
Lekin hum galatiya karte hai aur uska khauf hummein jab nahi reheta tab hum usko pavitra karke nahi mante ye mere hisab se isliye hai ki uska dar hum mein rahe romoiyo mein likha hai
(रोमियो 12:1) इसलिये हे भाइयों, मैं तुम से परमेश्वर की दया स्मरण दिला कर बिनती करता हूं, कि अपने शरीरों को जीवित, और पवित्र, और परमेश्वर को भावता हुआ बलिदान करके चढ़ाओ: यही तुम्हारी आत्मिक सेवा है।
(Romans 12:1) I beseech you therefore, brethren, by the mercies of God, that ye present your bodies a living sacrifice, holy, acceptable unto God, which is your reasonable service.

Pavitra banke rehena hai is jamane mein

Tera rajya aaye
Hamare dwara hamari sewa ke dwara hamari kalisiya ke dwara uska rajya is dharti par shiru ho raha hai

Teri icha jaise swarg mein puri hota hai waise hi dharti pe duri ho
Ye mere hisab se PAVITRA AATME se juda hua hai
PRABHU ki icha swarg mein puri hoti hai lekin hame uski hamare jeevan mein icha kya hai ye kaise pata chalega iske liye hame PAVITRA AATMA Ki jarurat hai wohi toh mano ko jachta aur sab kuch praghat karta hai

Hamari roz ki roti hame de
Kya woh hame roz ki roti nahi deta phir kyu PRABHU ne aisa kahaan ki hamari roz ki roti hame de isliye kyuki hame uski daya yaad dilane ke liye
Aur mai aapko bata doon hum log jisme mai bhi shaamil hoon khana barbaad karte hai na jaane kitne log bhukhe sote hai 2 waqt to chodiye 1 waqt ka khana bhi nahi milta isliye
Shukriya shukriya ae KHUDA tera shukriya
Uska shukriya hamesha kare
Khane aur kapde aur makaan ke liye bhi kyuki kithe tadaprahe hai iske liye

Jis taraha hamne apne apradhiyo ko maaf kiya hai tu bhi hame hamare aprad maaf kar

Mai aapko bata doon iske uper itna kuch hai bolne ke liye ki time kam pad jayega lekik thoda sa batata hoon ki maaf na karna apne aap ek aisi aag rakhna hai jo khud ko hi jalati hai jo ashisho ko rokti hai jo hamari prathana mein bada dalti hai jo shaitaan ke liye rasta kholti hai jo pavitra aatma ko naraz karti hai isliye maaf kijiye. Unko jinhone aapke saath bura kiya hai toh
PRABHU bhi aapko maaf karenge aur aap ashishit aur nayi uchayi par honge

Hame pariksha mein na laana
Vachan keheta hai ki PRABHU kiski bhi pariksha nahi karta hai kyuki woh aapke bare mein sab kuch jaanta hai
Lekik hum pariksha mein apni nadaniyo ke kaaran fhaste hai paap karke vachan na padke prathana na karke gossip karke aur ja jane kya kya karke
Jah hum DUNIYA MEIN KHO JAATE HAI tab ham pariksha mein padte hai
Isliye hame pariksha mein nahi padna hai
YESHU NE KAHAAN PRATHANA KARO KI tum pariksha mein na pado toh prathana kare

Burai se bacha
Duniya saari khoyi hai
Andhere mein shaitaan ki
Hame bachna hai burai se
Lekin uska anugraha chahiye
Mai aapko bata doon aap apne balbute kitni bhi koshish kare lekin paap mein fasenge burai mein girnege baad mein pachtaenge lekin mai aapko bata doon
Uska abugraha aapko chahiye phirse khade hone ke liye
Mere saath kahin baar hua hai aisa
Burai se bachna hai toh PRABHU se anugraha mangiye

Kyuki rajya aur parakram aur mahima teri hi hai
Beshak rajya prabhu ka hai
Parakram bhi usi ka hai
Mahima hame usi ko deni hai hamare kamo ke dwara chal chalan ke dwara
Ek song hai pastor ajit horoji ka
Namuna bano yuva samay mein
Koi teri jawani ko tuch na jaane
Chal se chalan se namuna bano
Koi teri hawani ko tuch ja jaane
Aisa bible mein timothy ko paulus ne kahaan tha
Be a example...
Rajya prabhu ka hai isliye aap dariye mat kisise bhi
Parakram bhi uski ka hai
Usne sab kuch nigantran mein rakha hai....
Chinta na kar woh tere saath hai
Andhiya tujhe dara na sakengi
Lehere tujhe duba na sakengi
Kyuki tera PARMESHWAR tere saath hai
Chinta na kar woh tere saath hai.